चौराहा पर हुआ आत्मा से सामना Encounter With Ghost at Crossing
इत्तिफाक है या हकीकत, पलक सहम जाती है उन यादो से ना मिलना दोबारा इस तरह हमे , यही है दुआ ख्वाबो में भी हमें Dosto jivan main kitni hi ghatnaaye Encounter With Ghost at Crossing hamaare saath is tarah se hoti hai, lekin hum usse jehan me utaar nahi paate aur jiska hum jikra bhi nahi karna chahate par zehan main aate hi saham jaate hai. dosto ek ghatna ka jikra me karna chahunga , aksar dadi naaniya hamme kisse kahaniya sunaati hai par wo sirf dant kathaaye hi rah jaati hai par jab koi ghatna hakikat main ho jaaye to usejehan main utarna mushkil bhi hota hai or vishwaas bhi nahi. Dosto baat tab ki h jab meri behan ki shadi nov ,dec ki sardiyo main honi thi , humaare yaha shadi se related sabhi taiyaariyo ko dekhna mere hisse main tha.Raat ke 9:00 baje hum sabhi dosto or gharwaalo ne dance, garba shuru kar diya, tabhi dosto ki taraf se chaay ki demaand aayi lekin us din dhoodh kahi kisi kaam me aane ki wajah se kam pad gaya to maine aur mere dost ne door kisi resta...